Monday, December 5, 2011

Kaifi Azmi - Doosra Banwas

Remembering the tragic day of Babri Demolition
Ram banwaas se jab laut ke ghar mein aaye,
Yaad jangal bahut aaya jo nagar mein aaye,
Raqsse deewangee aangan mein jo dekha hoga,
6 december ko Shri Ram ne socha hoga,
Itne deewane kahan se mere ghar mein aaye?

Jagmagate thhe jahan Ram key qadmon ke nishaan,
Piyaar kee kahkashan leti thi angdayee jahan,
Mod nafrat ke usee rah guzar mein aaye,
Dharam kya unka hae, kya zaat hae, yeh janta kaun?
Ghar na jalta tau unhe raat mein pehchanta kaun,
Ghar jalane ko mera, log jo ghar mein aaye,
Shakahari hae mere dost tumahara khanjar.

Tumne Babar kee taraf pheke thhe saare patthar
Hae mere sar ki khata zakhm jo sar mein aaye,
Paun Sarjoo mein aabhi Ram ne dhoye bhee na thhe
Ke nazar aaye wahan khoon ke gehre dhabbe,
Paun dhoye bina Sarjoo ke kinare se uthe,
Ram yeh kehte hue aapne dwaare se uthe,
Rajdhani kee fiza aayee nahin raas mujhe,
6 December ko mila doosra banwaas mujhe. 

No comments:

Post a Comment