Monday, March 8, 2010

Ghar jab bana liya tere dar par kahe baghair - Mirza Ghalib


Ghar jab bana liya tere dar par kahe baghair,
Janega ab tu bhi mera ghar, kahe baghair !

घर जब बना लिया तेरे दर पर कहे बग़ैर
जानेगा अब भी तू ना मेरा घर कहे बग़ैर

Kehte hain jab rahi na mujhe taqat e sukhan,
Jaanu kisi ke dil ki main kyon kar kahe baghair !

कहते हैं जब रही न मुझे ताक़त-ए-सुख़न
जानूँ किसी के दिल की मैं क्योंकर कहे बग़ैर

Kaam usse aa para hai ke jis ka jahan mein naam,
Leway na koi naam sitamgar kahe baghair !

काम उससे आ पड़ा है के जिसका जहान में
लेवे न नाम कोई 'सितमगर' कहे बग़ैर

Ji mein hi kuch nahi hai hamare wagarna hum,
Sar ja...ye ya rahe, na rahein par kahe baghair !

जी में ही कुछ नहीं है हमारे वरना हम
सर जाए या रहे न रहें पर कहे बग़ैर

Chhodoonga main na us but e kaafir ka poojna,
Chhoday na khalq go mujhe kaafir kahe baghair !

छोड़ूँगा मैं ना उस बुत-ए-काफ़िर का पूजना
छोड़े न ख़ल्क़ गो मुझे काफ़र कहे बग़ैर

Har chand ho mushaheda-e-haq ki guftagoo
Bantee nahin hai baada-o-sagar kahe baghair !

 हर चन्द हो मुशाहेदा-ए-हक़ की गुफ़्तगू
बनती नहीं है बादा-ओ-साग़र कहे बग़ैर

Behra hun to chahiye douna ho iltefaat,
Sunta nahi hun baat mukarrar kahe baghair !

बेहरा हूँ मैं तो चाहिए दूना हो इलतिफ़ात
सुनता नहीं हूँ बात मुकररर कहे बग़ैर

Ghalib na kar huzoor mein tu bar bar arz,
Zaahir hai tera haal sab un par kahe baghair !!

 ग़ालिब न कर हुज़ूर में तू बार-बार अर्ज़
ज़ाहिर है तेरा हाल सब उन पर कहे बग़ैर

No comments:

Post a Comment