ek chameli ke mandve tale
maikade se zaraa door us mor par
do badan pyaar ki aag mein jal gaye
pyaar harf-e-vafaa
pyaar unka khudaa
pyaar unki chitaa
do badan pyaar ki aag mein jal gaye
humne dekhaa unhen
din mein aur raat mein
noor-o-zulmaat mein
do badan pyaar ki aag mein jal gaye
masjidon ke minaaron ne dekhaa unhen
mandiron ke kivaaron ne dekhaa unhen
maikade ki daraaron ne dekhaa unhen
do badan pyaar ki aag mein jal gaye
az-azal-taa-abad ye bataa chaaragar
teri zambir mein
nuskhaa-e-kimiyaa-e-muhabbat bhi hai
kuch ilaaj-o-mudaavaa-e-ulfat bhi hai
do badan pyaar ki aag mein jal gaye
maikade se zaraa door us mor par
do badan pyaar ki aag mein jal gaye
pyaar harf-e-vafaa
pyaar unka khudaa
pyaar unki chitaa
do badan pyaar ki aag mein jal gaye
humne dekhaa unhen
din mein aur raat mein
noor-o-zulmaat mein
do badan pyaar ki aag mein jal gaye
masjidon ke minaaron ne dekhaa unhen
mandiron ke kivaaron ne dekhaa unhen
maikade ki daraaron ne dekhaa unhen
do badan pyaar ki aag mein jal gaye
az-azal-taa-abad ye bataa chaaragar
teri zambir mein
nuskhaa-e-kimiyaa-e-muhabbat bhi hai
kuch ilaaj-o-mudaavaa-e-ulfat bhi hai
do badan pyaar ki aag mein jal gaye
No comments:
Post a Comment