Hazaaron Khwaishein Aisi Ki Har Khwaish Pe Dam Nikle
Bahut Nikle Mere Arman Lekin Phir Bhi Kam Nikle
Nikalna Khuld Se Adam Ka Sunte Aaye Hain Lekin
Bahut Beaabru Hokar Tere Kuche Se Ham Nikle
Mohabbat Mein Nahi Hai Fark Jene Aur Marne Ka

Usi Ko Dekh Kar Jete Hain Jis Kafir Pe Dam Nikle
Hazaaron Khwaishein Aisi Ki Har Khwaish Pe Dam Nikle
Bahut Nikle Mere Arman Lekin Phir Bhi Kam Nikle
Khuda Ke Vaste Parda Na Kaabe Se Utha Zalim

Kahin Aisa Na Ho Yaan Bhi Wohi Kafir Sanam Nikle
Kahan Mainkhane Ka Darwaza Ghalib Aur Kahan Vaiz

Par Itna Jante Hain Kal Vo Jata Tha Ke Ham Nikle
Hazaaron Khwaishein Aisi Ki Har Khwaish Pe Dam Nikle
Bahut Nikle Mere Arman Lekin Phir Bhi Kam Nikle
Download The Audio:- Hazaaron Khwaishein Aisi
No comments:
Post a Comment