Tuesday, September 8, 2009

Hum Ko Kiseke Gham Ne Mara :- Ghulam Ali









Here are the lyrics written by Masroor Anwar:-

ham ko kiseke Gam ne maaraa ye kahaanii phir sahii
kisne to.Daa dil hamaaraa ye kahaanii phir sahii

dil ke luTane kaa sabab puuchho na sab ke saamane
naam aayegaa tumhaaraa ye kahaanii phir sahii

nafarato.n ke tiir khaa kar dosto.n ke shahar me.n
ham ne kis kis ko pukaaraa ye kahaanii phir sahii

kyaa bataaye.n pyaar kii baazii vafaa kii raah mein
kaun jiitaa kaun haaraa ye kahaanii phir sahii

No comments:

Post a Comment